Sufinama

zabt karna dil-e-hazin na kahin

Ameer Minai

zabt karna dil-e-hazin na kahin

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    zabt karnā dil-e-hazīñ na kahīñ

    choT lag jā.egī kahīñ na kahīñ

    jab taḌaptā hai dil maiñ Dartā huuñ

    charḳh par paḌe zamīñ na kahīñ

    hūreñ lipTī haiñ naza.a meñ mujh se

    dekh paa.e vo nāznīñ na kahīñ

    vasl shab nahīñ nahīñ kaisī

    dekh sun le dil-e-hazīñ na kahīñ

    dil meñ bāteñ bharī thiiñ kyā kyā kuchh

    haaye kuchh vaqt-e-vāpsīñ na kahīñ

    dil se shai le ke ab to nikle haiñ

    pūchh legā koī kahīñ na kahīñ

    na taḌap is qadar dil-e-be-tāb

    saham jaa.e vo nāznīñ na kahīñ

    mere iisā ke dil meñ chubh jaa.e

    nigah vaqt-e-vāpsīñ na kahīñ

    chain mardoñ ko qabr meñ bhī nahīñ

    āsmān ho tah-e-zamīñ na kahīñ

    aag ho jāygā vo shoḳh 'amīr'

    khīñchnā āh-e-ātishīñ na kahīñ

    zabt karna dil-e-hazin na kahin

    choT lag jaegi kahin na kahin

    jab taDapta hai dil main Darta hun

    charKH par ja paDe zamin na kahin

    huren lipTi hain naza mein mujh se

    dekh pae wo naznin na kahin

    wasl ki shab nahin nahin kaisi

    dekh sun le dil-e-hazin na kahin

    dil mein baaten bhari thin kya kya kuchh

    haye kuchh waqt-e-wapsin na kahin

    dil se shai le ke ab to nikle hain

    puchh lega koi kahin na kahin

    na taDap is qadar dil-e-be-tab

    saham jae wo naznin na kahin

    mere isa ke dil mein chubh jae

    nigah waqt-e-wapsin na kahin

    chain mardon ko qabr mein bhi nahin

    aasman ho tah-e-zamin na kahin

    aag ho jayga wo shoKH 'amir'

    khinchna aah-e-atishin na kahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now