Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye jo diwane se do-chaar nazar aate hain

Saghar Siddiqi

ye jo diwane se do-chaar nazar aate hain

Saghar Siddiqi

ye jo dīvāne se do-chār nazar aate haiñ

un meñ kuchh sāhab-e-asrār nazar aate haiñ

terī mahfil bharam rakhte haiñ sau jaate haiñ

varna ye log to bedār nazar aate haiñ

duur tak koī sitāra hai na koī jugnū

marg-e-ummīd ke āsār nazar aate haiñ

mire dāman meñ sharāroñ ke sivā kuchh bhī nahīñ

aap phūloñ ke ḳharīdār nazar aate haiñ

kal jinheñ chhū nahīñ saktī thī farishtoñ nazar

aaj vo raunaq-e-bāzār nazar aate haiñ

hashr meñ kaun gavāhī mirī degā 'sāġhar'

sab tumhāre taraf-dār nazar aate haiñ

ye jo diwane se do-chaar nazar aate hain

un mein kuchh sahab-e-asrar nazar aate hain

teri mahfil ka bharam rakhte hain sau jate hain

warna ye log to bedar nazar aate hain

dur tak koi sitara hai na koi jugnu

marg-e-ummid ke aasar nazar aate hain

mere daman mein shararon ke siwa kuchh bhi nahin

aap phulon ke KHaridar nazar aate hain

kal jinhen chhu nahin sakti thi farishton ki nazar

aaj wo raunaq-e-bazar nazar aate hain

hashr mein kaun gawahi meri dega 'saghar'

sab tumhaare hi taraf-dar nazar aate hain

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now