Font by Mehr Nastaliq Web

sana bashar ke liye hai bashar sana ke liye

Unknown

sana bashar ke liye hai bashar sana ke liye

Unknown

sanā bashar ke liye hai bashar sanā ke liye

tamām hamd sazā-vār hai ḳhudā ke liye

'atā ke sāmne yā-rab ḳhatā zikr kyā

ki to 'atā ke liye hai bashar ḳhatā ke liye

tujhī se māñgne vaale murād paate haiñ

hai bārgāh terī shaah aur gadā ke liye

tere karam ne vahīñ aa ke dast-gīrī

gunahgāroñ ke jab haath uTThe du'ā ke liye

tere karam tere lutf hisāb kyā

dushmanoñ ke liye hai āshnā ke liye

vo rañg laa.ī hai rahmat terī sar-e-mahshar

ki be-ḳhatā bhī tarasne lage ḳhatā ke liye

khilā jo rañg sar-e-hashr terī rahmat

to be-gunāh bhī tarasne lage ḳhatā ke liye

nazar karam ho 'kaifī' ke haal par yā-rab

terī janāb meñ hāzir hai iltijā ke liye

sana bashar ke liye hai bashar sana ke liye

tamam hamd saza-war hai KHuda ke liye

'ata ke samne ya-rab KHata ka zikr hi kya

ki to 'ata ke liye hai bashar KHata ke liye

tujhi se mangne wale murad pate hain

hai bargah teri shah aur gada ke liye

tere karam ne wahin aa ke dast-giri ki

gunahgaron ke jab hath uTThe du'a ke liye

tere karam ka tere lutf ka hisab hi kya

tu dushmanon ke liye hai tu aashna ke liye

wo rang lai hai rahmat teri sar-e-mahshar

ki be-KHata bhi tarasne lage KHata ke liye

khila jo rang sar-e-hashr teri rahmat ka

to be-gunah bhi tarasne lage KHata ke liye

nazar karam ki ho 'kaifi' ke haal par ya-rab

teri janab mein hazir hai iltija ke liye

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Haji Mehboob Ali

Haji Mehboob Ali

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now