Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

jannat se duur-duur talak vaasta nahii.n

Izhar Jabalpuri

MORE BYIzhar Jabalpuri

    jannat se duur-duur talak vaasta nahii.n

    jis kaa 'alii ke ghar se ko.ii raabta nahii.n

    paanii ko saarii duniyaa ta.Dap jaatii taa-abad

    kahiye mire husain ne kaasa bharaa nahii.n

    us faKHr-e-kaa.enaat kaa beTaa husain hai

    jis kii hukuumato.n kaa ko.ii daa.ira nahii.n

    dii.n ke labo.n pe aaj tabassum hai us kii den

    jo karbalaa ke baad kabhii bhii ha.nsaa nahii.n

    utregaa ab to ba.ad-e-shahaadat hii dekhnaa

    tauhiid kaa nasha hai ye mai kaa nasha nahii.n

    us ke bhii kaam aataa hai 'aabid tumhaaraa naam

    jis maraz-e-laa-'ilaaj kii ko.ii davaa nahii.n

    'iz.haar' hai.n husain hii sardaar-e-KHuld ke

    meraa rasuul jhuuT kabhii boltaa nahii.n

    Source :
    • Book : Sukhanwaran-e-Izzat (Pg. 314)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now