maalik-o-muKHtaar par laakho.n salaam
maalik-o-muKHtaar par laakho.n salaam
yaa'nii shahr-e-yaar par laakho.n salaam
ai shahanshaah-e-madiina aap ke
vazzuhaa ruKHsaar par laakho.n salaam
pahlii aayat jis jagah naazil hu.ii
us muqaddas Gaar par laakho.n salaam
hukm aaqaa par 'amal jis ne kiyaa
us hasii.n iqraar par laakho.n salaam
baaG-e-zahraa ke kalii hasan-o-husain
us gul-e-gulzaar par laakho.n salaam
sar se dupaTTa kabhii khiskaa nahii.n
faatmii kirdaar par laakho.n salaam
mas hai jis se mustafaa kaa jism-e-paak
arz par anvaar par laakho.n salaam
haidar-o-siddiiq-o-’usmaan-o-omar
shah ke chaaro.n yaar par laakho.n salaam
bhejtaa huu.n har gha.Dii har vaqt mai.n
rahmat-e-Gaffaar par laakho.n salaam
karte hai.n bebas kii jo har dam madad
mere us Gam-KHvaar par laakho.n salaam
dil se pa.Dhtaa hai duruud-e-paak jo
un ke is iz.haar par laakho.n salaam
jis ne sambhaalaa nabii ke diin ko
'aabid-e-biimaar par laakho.n salaam
maz.hab-e-islaam ke baanii hai.n jo
un ke har me'yaar par laakho.n salaam
hai.n sahaaba jitne bhii sarkaar ke
sab ke sab dildaar par laakho.n salaam
bhejtaa hai 'amabar'-e-KHasta sadaa
diin ke sardaar par laakho.n salaam
maalik-o-muKHtaar par laakho.n salaam
yaa'nii shahr-e-yaar par laakho.n salaam
ai shahanshaah-e-madiina aap ke
vazzuhaa ruKHsaar par laakho.n salaam
pahlii aayat jis jagah naazil hu.ii
us muqaddas Gaar par laakho.n salaam
hukm aaqaa par 'amal jis ne kiyaa
us hasii.n iqraar par laakho.n salaam
baaG-e-zahraa ke kalii hasan-o-husain
us gul-e-gulzaar par laakho.n salaam
sar se dupaTTa kabhii khiskaa nahii.n
faatmii kirdaar par laakho.n salaam
mas hai jis se mustafaa kaa jism-e-paak
arz par anvaar par laakho.n salaam
haidar-o-siddiiq-o-’usmaan-o-omar
shah ke chaaro.n yaar par laakho.n salaam
bhejtaa huu.n har gha.Dii har vaqt mai.n
rahmat-e-Gaffaar par laakho.n salaam
karte hai.n bebas kii jo har dam madad
mere us Gam-KHvaar par laakho.n salaam
dil se pa.Dhtaa hai duruud-e-paak jo
un ke is iz.haar par laakho.n salaam
jis ne sambhaalaa nabii ke diin ko
'aabid-e-biimaar par laakho.n salaam
maz.hab-e-islaam ke baanii hai.n jo
un ke har me'yaar par laakho.n salaam
hai.n sahaaba jitne bhii sarkaar ke
sab ke sab dildaar par laakho.n salaam
bhejtaa hai 'amabar'-e-KHasta sadaa
diin ke sardaar par laakho.n salaam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.