Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Aah Shayari

maiñ apnī aah ke sadqe ki merī aah meñ bhī

tirī nigāh ke andāz paa.e jaate haiñ

main apni aah ke sadqe ki meri aah mein bhi

teri nigah ke andaz pae jate hain

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

dard-e-dil kitnā pasand aayā use

maiñ ne jab aah us ne vaah

dard-e-dil kitna pasand aaya use

main ne jab ki aah us ne wah ki

Aasi Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

naala fariyād aah aur zaarī

aap se ho sakā so kar dekhā

nala fariyād aah aur zarī

aap se ho sakā so kar dekhā

Khwaja Meer Dard
  • Share this
  • Critique

na lagā le ga.e jahāñ dil ko

aah le jā.iye kahāñ dil ko

na laga le gae jahan dil ko

aah le jaiye kahan dil ko

Khwaja Meer Asar
  • Share this
  • Critique

vo ki ik muddat talak jis ko bhalā kahtā rahā

aah ab kis muñh se zikr us burā.ī karūñ

wo ki ek muddat talak jis ko bhala kahta raha

aah ab kis munh se zikr us ki burai ka karun

Ehsanullah Khan Bayan
  • Share this
  • Critique

laayā tumhāre paas huuñ piir al-ġhiyās

kar aah ke qalam se maiñ tahrīr al-ġhiyās

laya tumhaare pas hun ya pir al-ghiyas

kar aah ke qalam se main tahrir al-ghiyas

Shah Niyaz Ahmad Barelvi
  • Share this
  • Critique

tere firāq meñ har-vaqt aah kartā huuñ

tere liye javānī tabāh kartā huuñ

tere firaq mein har-waqt aah karta hun

tere liye jawani tabah karta hun

Wali Warsi
  • Share this
  • Critique

falak ḳhud piir hai gardish satā.e aap us ko

usī se aah ko shikva hai apnī nā-rasā.ī

falak KHud pir hai gardish satae aap hi us ko

usi se aah ko shikwa hai apni na-rasai ka

Fida Warsi
  • Share this
  • Critique

saiñkaḌoñ mar mar ga.e haiñ ishq ke hāthoñ se aah

maiñ kyā patthar se apnā sar paTak kar rah gayā

sainkaDon mar mar gae hain ishq ke hathon se aah

main hi kya patthar se apna sar paTak kar rah gaya

Shah Naseer
  • Share this
  • Critique

idhar se bhī hai sivā kuchh udhar majbūrī

ki ham ne aah to un se aah bhī na huī

idhar se bhi hai siwa kuchh udhar ki majburi

ki hum ne aah to ki un se aah bhi na hui

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

aah ai yaar kyā karūñ tujh bin

nāla-e-zār kyā karūñ tujh bin

aah ai yar kyā karūñ tujh bin

nāla-e-zār kyā karūñ tujh bin

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

na pūchho be-niyāzī aah tarz-e-imtihāñ dekho

milā.ī ḳhaak meñ hañs hañs ke merī aabrū barsoñ

na puchho be-niyazi aah tarz-e-imtihan dekho

milai KHak mein hans hans ke meri aabru barson

Aziz Safipuri
  • Share this
  • Critique

ek din muddatoñ meñ aa.e ho

aah tis par bhī muñh chhupā.e ho

ek din muddaton mein aae ho

aah tis par bhi munh chhupae ho

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

har-dam aatī hai garche aah par aah

par koī kārgar nahīñ aatī

har-dam aati hai garche aah par aah

par koi kargar nahin aati

Khwaja Meer Asar
  • Share this
  • Critique

aap ko ham ne kho diyā hai 'bayāñ'

aah kis surāġh rakhte haiñ

aap ko hum ne kho diya hai 'bayan'

aah kis ka suragh rakhte hain

Ehsanullah Khan Bayan
  • Share this
  • Critique

do qadam par rah ga.ī hai manzil-e-maqsūd aah

chhoḌ kar tanhā na jaao ham-rahāñ bahr-e-ḳhudā

do qadam par rah gai hai manzil-e-maqsud aah

chhoD kar tanha na jao ham-rahan bahr-e-KHuda

Shah Naseer
  • Share this
  • Critique

havas jo dil meñ guzre hai kahūñ kyā aah meñ tum ko

yahī aatā hai meñ ban ke bāmhan aaj to yaaro

hawas jo dil mein guzre hai kahun kya aah mein tum ko

yahi aata hai ji mein ban ke baamhan aaj to yaro

Nazeer Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

kyā karūñ aah maiñ 'asar' ilaaj

is ghaḌī us jaatā hai

kya karun aah main 'asar' ka ilaj

is ghaDi us ka ji hi jata hai

Khwaja Meer Asar
  • Share this
  • Critique

kaarī lagī jigar pe kaTārī nigāh

be-ḳhud huā zamīñ par girā dil se aah

kari lagi jigar pe kaTari nigah ki

be-KHud hua zamin par gira dil se aah ki

Kausar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

aah milte phir judā.ī

vaah kyā ḳhuub āshnā.ī

aah milte phir judāī

wah kyā ḳhub āshnāī

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

aah us parda-nashīñ justujū meñ jo ga.e

kuchh pata paayā na us ḳhud kar kho ga.e

aah us parda-nashin ki justuju mein jo gae

kuchh pata paya na us ka KHud hi ja kar kho gae

Sanjar Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

kyuuñ maiñ firāq-e-yār meñ āh-o-fuġhāñ karūñ

'kausar' dil-e-hazīñ jaras-e-kārvāñ nahīñ

kyun main firaq-e-yar mein aah-o-fughan karun

'kausar' dil-e-hazin jaras-e-karwan nahin

Kausar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

kareñ āh-o-fuġhāñ phoḌeñ-phaphole is tarah dil ke

irāda hai ki ro.eñ iid ke din bhī gale mil ke

karen aah-o-fughan phoDen-phaphole is tarah dil ke

irada hai ki roen id ke din bhi gale mil ke

Aughat Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

paiham jo aah aah kiye rahā huuñ maiñ

daulat hai ġham zakāt diye rahā huuñ maiñ

paiham jo aah aah kiye ja raha hun main

daulat hai gham zakat diye ja raha hun main

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

sailāb chashm-e-ashk meñ hoñToñ pe aah hai

ai dard-e-dil bahut mirī hālat tabāh hai

sailab chashm-e-ashk mein honTon pe aah hai

ai dard-e-dil bahut meri haalat tabah hai

Raushan Badayuni
  • Share this
  • Critique

aah duniyā sarā-e-fānī hai

kis qadar muḳhtasar kahānī hai

aah duniya sara-e-fani hai

kis qadar muKHtasar kahani hai

Altaf Mashhadi
  • Share this
  • Critique

kuchh dard shiddat hai kuchh pās-e-mohabbat hai

ham aah to karte haiñ fariyād nahīñ karte

kuchh dard ki shiddat hai kuchh pas-e-mohabbat hai

hum aah to karte hain fariyaad nahin karte

Fana Nizami Kanpuri
  • Share this
  • Critique

kis tarah dikhā.ūñ aah tujh ko

maiñ apnī ye ḳharāb-hālī

kis tarah dikhaun aah tujh ko

main apni ye KHarab-haali

Khwaja Meer Asar
  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Speak Now