had na pūchho hamārī vahshat kī
dil meñ har daaġh chashm-e-āhū hai
had na puchho hamari wahshat ki
dil mein har dagh chashm-e-ahu hai
pā.eñge bhalā ḳhaak tirī chashm ko aahū
chīte bhī ḳhijālat se chhupāte haiñ kamar aaj
paenge bhala KHak teri chashm ko aahu
chite bhi KHijalat se chhupate hain kamar aaj
is bhare shahar meñ kartā huuñ havā se bāteñ
paañv paḌtā hai zamīñ par mirā aahū kī tarah
is bhare shahar mein karta hun hawa se baaten
panw paDta hai zamin par mera aahu ki tarah
zarā kuchh aur bhī himmat nikal jaa.e merī hasrat
vo aatā hai nazar bāb-e-asar ai nātvāñ aahū
zara kuchh aur bhi himmat nikal jae meri hasrat
wo aata hai nazar bab-e-asar ai natwan aahu
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere