duā lab pe aatī hai dil se nikal kar
zamīñ se pahuñchtī hai baat āsmāñ tak
dua lab pe aati hai dil se nikal kar
zamin se pahunchti hai baat aasman tak
jab qadam rakhā zamīñ par āsmāñ par jā paḌā
bārhā ham ne kiyā hai imtihān-e-kū-e-dost
jab qadam rakha zamin par aasman par ja paDa
barha hum ne kiya hai imtihan-e-ku-e-dost
us sarvar-e-dīñ par jaan fidā kī jis ne namāz-e-ishq adā
talvāroñ kī jhankāroñ meñ aur tīroñ kī bauchhāroñ meñ
us sarwar-e-din par jaan fida ki jis ne namaz-e-ishq ada
talwaron ki jhankaron mein aur tiron ki bauchhaaron mein
zamīñ se āsmāñ tak āsmāñ se lā-makāñ tak hai
ḳhudā jaane hamāre ishq kī duniyā kahāñ tak hai
zamin se aasman tak aasman se la-makan tak hai
KHuda jaane hamare ishq ki duniya kahan tak hai
zamīñ hai āsmāñ bhī us ke aage
ajab bartar madīne kī zamīñ hai
zamin hai aasman bhi us ke aage
ajab bartar madine ki zamin hai
vo chamkā chāñd chhaTkī chāñdnī taare nikal aa.e
vo kyā aa.e zamīñ par āsmāñ ne phuul barsā.e
wo chamka chand chhaTki chandni tare nikal aae
wo kya aae zamin par aasman ne phul barsae
agar chāhūñ nizām-e-dahr ko zer-o-zabar kar duuñ
mire jazbāt kā tūfāñ zamīñ se āsmāñ tak hai
agar chahun nizam-e-dahr ko zer-o-zabar kar dun
mere jazbaat ka tufan zamin se aasman tak hai
yahī jo saudā hai mujh hazīñ kā patā kahāñ kū-e-nāznīñ kā
ġhubār-āsā nahīñ kahīñ kā na āsmāñ kā na maiñ zamīñ kā
yahī jo sauda hai mujh hazin ka pata kahan ku-e-naznin ka
ghubar-asa nahin kahin ka na aasman ka na main zamin ka
shab-e-ġham dekhtā huuñ uTh ke har baar
vahī hai yā koī aur āsmāñ hai
shab-e-gham dekhta hun uTh ke har bar
wahi hai ya koi aur aasman hai
zarre ko le ke phirtā hai ye āsmān meñ
hai 'ishq se 'azīm koī shai jahān meñ
zarre ko le ke phirta hai ye aasman mein
hai 'ishq se 'azim koi shai jahan mein
mujhe nāshād kar ke āsmāñ rāhat na pā.egā
mujhe barbād kar ke ḳhaak chhāneī zamīñ barsoñ
mujhe nashad kar ke aasman rahat na paega
mujhe barbaad kar ke KHak chhanei zamin barson
jo zamīñ par farāġh rakhte haiñ
āsmāñ par dimāġh rakhte haiñ
jo zamin par faragh rakhte hain
aasman par dimagh rakhte hain
nikal kar tere kūche se guzar merā jahāñ hogā
hazāroñ āsmāñ hoñge vahāñ ek āsmāñ hogā
nikal kar tere kuche se guzar mera jahan hoga
hazaron aasman honge wahan ek aasman hoga
ye aaheñ haiñ merī ye naale haiñ mere
jinheñ āsmāñ āsmāñ dekhte haiñ
ye aahen hain meri ye nale hain mere
jinhen aasman aasman dekhte hain
jab nazar us kī paḌī ham āsmāñ se gir paḌe
us ke phirte hī jahāñ ye ham se saarā phir gayā
jab nazar us ki paDi hum aasman se gir paDe
us ke phirte hi jahan ye hum se sara phir gaya
bas meñ tire zamīñ hai qabze meñ āsmāñ hai
ai do-jahāñ ke mālik merā nishāñ kahāñ hai
bas mein tere zamin hai qabze mein aasman hai
ai do-jahan ke malik mera nishan kahan hai
bāġh-e-ālam meñ hameñ phūlne-phalne na diyā
āsmāñ ne koī armāñ nikalne na diyā
bagh-e-alam mein hamein phulne-phalne na diya
aasman ne koi arman nikalne na diya
rā.egāñ 'hasrat' na jā.egā mirā musht-e-ġhubār
kuchh zamīñ le jā.egī kuchh āsmāñ le jā.egā
raegan 'hasrat' na jaega mera musht-e-ghubar
kuchh zamin le jaegi kuchh aasman le jaega
vo kyuuñ bigḌe mire shor-e-fuġhāñ se
shikāyat un se thī yā āsmāñ se
wo kyun bigDe mere shor-e-fughan se
shikayat un se thi ya aasman se
'riyāz' maut hai is shart se hameñ manzūr
zamīñ satā.e na marne pe āsmāñ kī tarah
'riyaz' maut hai is shart se hamein manzur
zamin satae na marne pe aasman ki tarah
vo lahar huuñ jo pyaas bujhā.e zamīn kī
chamke jo āsmāñ pe vo patthar nahīñ huuñ maiñ
wo lahar hun jo pyas bujhae zamin ki
chamke jo aasman pe wo patthar nahin hun main
sargarm-e-qatl kab but-e-nā-mehrabāñ nahīñ
pyāsā mire lahū kā faqat āsmāñ nahīñ
sargarm-e-qatl kab but-e-na-mehraban nahin
pyasa mere lahu ka faqat aasman nahin
dil to aur hī makāñ meñ phirtā hai
na zamīñ hai na āsmāñ hai yaad
dil to aur hi makan mein phirta hai
na zamin hai na aasman hai yaad
dekh kar āsmāñ ko ham to zamīñ meñ gaḌ ga.e
jab na kahīñ jagah milī aap kī bazm-e-nāz meñ
dekh kar aasman ko hum to zamin mein gaD gae
jab na kahin jagah mili aap ki bazm-e-naz mein
tirī raah meñ jo fanā hue kahūñ kyā jo un kā maqām hai
na ye āsmān hai na ye zamīñ na ye sub.h hai na ye shaam hai
teri rah mein jo fana hue kahun kya jo un ka maqam hai
na ye aasman hai na ye zamin na ye subh hai na ye sham hai
ārām ho sukūn ho saare jahān ko
jumbish na ho zamīñ kī tarah āsmān ko
aaram ho sukun ho sare jahan ko
jumbish na ho zamin ki tarah aasman ko
ishq-e-lā-mahdūd jab tak rahnumā hotā nahīñ
zindagī se zindagī kā haq adā hotā nahīñ
ishq-e-la-mahdud jab tak rahnuma hota nahin
zindagi se zindagi ka haq ada hota nahin
kū-e-jānāñ bhī na chhoḌā ḳhāna-vīrānī ke ba.ad
dekhnā hai ab kahāñ ye āsmāñ le jā.egā
ku-e-jaanan bhi na chhoDa KHana-virani ke baad
dekhna hai ab kahan ye aasman le jaega
aTkī huī hai koī nazar āsmān par
ai shab zarā sī der Thahar āsmān par
aTki hui hai koi nazar aasman par
ai shab zara si der Thahar aasman par
زمیں کے سر پہ کھلا آسمان رہنے دے
خدا کے واسطے امن و امان رہنے دے
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere