ai jān-e-man jānān-e-man ham dard-o-ham darmān-e-man
dēn-e-man-o-ī.mān-e-man amn-o-amān-e-ummatāñ
ai jaan-e-man jaanan-e-man hum dard-o-ham darman-e-man
deen-e-man-o-iman-e-man amn-o-aman-e-ummatan
zamīñ ke sar pe khulā āsmān rahne de
ḳhudā ke vāste amn-o-amān rahne de
zamin ke sar pe khula aasman rahne de
KHuda ke waste amn-o-aman rahne de
hamāre shahr se rahte haiñ duur saudāgar
hamāre shahr kā amn-o-amāñ boltā hai
hamare shahr se rahte hain dur saudagar
hamare shahr ka amn-o-aman bolta hai
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere