Font by Mehr Nastaliq Web

Ishq Shayari

mujhe ishq ne ye patā diyā ki na hijr hai na visāl hai

usī zaat maiñ zuhūr huuñ ye jamāl usī jamāl hai

mujhe ishq ne ye pata diya ki na hijr hai na visal hai

usi zat ka main zuhur hun ye jamal usi ka jamal hai

Aziz Safipuri

har tamannā ishq meñ harf-e-ġhalat

āshiqī meñ mānī-e-hāsil fareb

har tamanna ishq mein harf-e-ghalat

aashiqi mein mani-e-hasil fareb

Zaheen Shah Taji

ishq maahī de lā.iyāñ aggīñ laggī kaun bujhāve

maiñ jānāñ zaat ishq jo dar dar jhukāve

ishq mahi de laiyan aggin laggi kaun bujhawe hu

main ki jaanan zat ishq jo dar dar ja jhukawe hu

Sultan Bahu

indar kalma kal-kal kardā ishq sikhāyā kalma

chaudāñ tabqe kalme andar chhaD kitābāñ almāñ

indar kalma kal-kal karda ishq sikhaya kalma hu

chaudan tabqe kalme andar chhaD kitaban alman hu

Sultan Bahu

jis manzūl nuuñ ishq pahuñchāve īmān ḳhabar na koī

ishq salāmat rakkhīñ 'āhū' deyāñ īmān dharoī

jis manzul nun ishq pahunchawe iman KHabar na koi hu

ishq salamat rakkhin 'ahu' deyan iman dharoi hu

Sultan Bahu

īmān salāmat har koī mañge ishq salāmat koī

jis manzal nuuñ ishq pahuñchāve īmān ḳhabar na koī

iman salamat har koi mange ishq salamat koi hu

jis manzal nun ishq pahunchawe iman KHabar na koi hu

Sultan Bahu

murshid makka tālib haajī ka.aba ishq baḌāyā

vich huzūr sadā har vele kariye haj savāyā

murshid makka talib haji kaba ishq baDaya hu

wich huzur sada har wele kariye haj sawaya hu

Sultan Bahu

āshiq ishq maahī de koloñ phiran hamesha khīve

jīnde jaan maahī nuuñ Dittī dohīñ jahānīñ jiive

aashiq ishq mahi de kolon phiran hamesha khiwe hu

jinde jaan mahi nun Ditti dohin jahanin jiwe hu

Sultan Bahu

dīvāna shud ishq ham nāgah bar-āvard ātishī

shud raḳht-e-shahrī soḳhta ḳhāshāk-e-īñ vīrāna ham

diwana shud zu ishq hum nagah bar-award aatishi

shud raKHt-e-shahri soKHta KHashak-e-in virana hum

Amir Khusrau

ishq meñ tere koh-e-ġham sar pe liyā jo ho so ho

aish-o-nishāt-e-zindagī chhoḌ diyā jo ho so ho

ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho

aish-o-nishat-e-zindagi chhoD diya jo ho so ho

Shah Niyaz Ahmad Barelvi

tire ishq meñ zindagānī luTā

ajab khel khelā javānī luTā

tere ishq meñ zindagānī luTā

ajab khel khelā jawānī luTā

Behzad Lakhnavi

ishq gall avallī jehaḌā shar.ā thiiñ duur haTāve

qaazī chhoḌ qazā.ī jaan jad ishq tamāñcha laave

ishq di gall awalli jehaDa shara thin dur haTawe hu

qazi chhoD qazai jaan jad ishq tamancha lawe hu

Sultan Bahu

mazmūn ye 'ishq' dil meñ mere aayā

is ramz-e-risālat ko nazar se paayā

mazmun ye 'ishq' dil mein mere aaya

is ramz-e-risalat ko nazar se paya

Khwaja Ruknuddin Ishq

dilbar meñ dil dilbar dil meñ hai

'ishq' us ko batā kis tarah se ġhair kahūñ

dilbar mein dil ya dilbar dil mein hai

'ishq' us ko bata kis tarah se ghair kahun

Khwaja Ruknuddin Ishq

andar bhaa.ī andar bālan andar de vich dhūhāñ

shāh-rag thiiñ rabb neḌe laddhā ishq kītām jad sūhāñ

andar bhai andar baalan andar de wich dhuhan hu

shah-rag thin rabb neDe laddha ishq kitam jad suhan hu

Sultan Bahu

husn-mahv-e-rang-o-bū hai ishq ġharq-e-hā.e-o-hū

har gulistāñ us taraf hai har bayābāñ is taraf

husn-mahw-e-rang-o-bu hai ishq gharq-e-hae-o-hu

har gulistan us taraf hai har bayaban is taraf

Zaheen Shah Taji

ishq adā-navāz-e-husn husn karishma-sāz-e-ishq

aaj se kyā azal se hai husn se sāz-bāz-e-ishq

ishq ada-nawaz-e-husn husn karishma-saz-e-ishq

aaj se kya azal se hai husn se saz-baz-e-ishq

Bedam Shah Warsi

īmān salāmat har koī mañge ishq salāmat koī

māñgan īmān sharmāvan ishqoñ dil nuuñ ġhairat hoī

iman salamat har koi mange ishq salamat koi hu

mangan iman sharmawan ishqon dil nun ghairat hoi hu

Sultan Bahu

āshiq ho te ishq kamā dil rakkhīñ vaañg pahāḌāñ

sai sai badiyāñ lakkh ulāhameñ jānīñ bāġh-bahārāñ

aashiq ho te ishq kama dil rakkhin wang pahaDan hu

sai sai badiyan lakkh ulahamen jaanin bagh-bahaaran hu

Sultan Bahu

ishq meñ aisā ik a.alam bhī guzar jaatā hai

zahn-o-idrāk ehsās bhī mar jaatā hai

ishq mein aisa ek aalam bhi guzar jata hai

zahn-o-idrak ka ehsas bhi mar jata hai

Aziz Warsi Dehlvi

mañgan īmān sharmāvan ishqoñ dil nuuñ ġhairat hoī

ishq salāmat rakkhīñ 'āhū' deyāñ īmān dharoī

mangan iman sharmawan ishqon dil nun ghairat hoi hu

ishq salamat rakkhin 'ahu' deyan iman dharoi hu

Sultan Bahu

butoñ ishq huā jab nasīb vaa.iz

ki muddatoñ kiyā pahle ḳhudā ḳhudā ham ne

buton ka ishq hua jab nasib waiz

ki muddaton kiya pahle KHuda KHuda hum ne

Aughat Shah Warsi

ishq har-chand mirī jaan sadā khātā hai

par ye lazzat to vo hai jise paatā hai

ishq har-chand mirī jaan sadā khātā hai

par ye lazzat to wo hai jise patā hai

Khwaja Meer Dard

ishq āsānūñ lisyāñ jaatā kar ke aave dhaa.ī

jit val vekhāñ ishq disīve ḳhālī na kaa.ī

ishq aasanun lisyan jata kar ke aawe dhai hu

jit wal wekhan ishq disiwe KHali ja na kai hu

Sultan Bahu

ishq ko be-naqāb honā thā

aap apnā javāb honā thā

ishq ko be-naqab hona tha

aap apna jawab hona tha

Jigar Moradabadi

ishq ḳhud mā.il-e-hijāb hai aaj

husn majbūr-e-iztirāb hai aaj

ishq ḳhud māil-e-hijāb hai aaj

husn majbūr-e-iztirāb hai aaj

Seemab Akbarabadi

pāk-bāzī apnī paiġhām-e-talab thī ishq meñ

dho ke dāġh-e-tohmat-e-hastī safar darkār thā

pak-bazi apnī paigham-e-talab thi ishq mein

dho ke dagh-e-tohmat-e-hasti safar darkar tha

Aasi Ghazipuri

ishq ne toḌī sar pe qayāmat zor-e-qayāmat kyā kahiye

sunñe vaalā koī nahīñ rūdād-e-mohabbat kyā kahiye

ishq ne toDi sar pe qayamat zor-e-qayamat kya kahiye

sunne wala koi nahin rudad-e-mohabbat kya kahiye

Jigar Moradabadi

jis nazar 'ishq' ke uupar paḌī

chashm ke ta.iiñ apnī vo tar kar gayā

jis ki nazar 'ishq' ke upar paDi

chashm ke tain apni wo tar kar gaya

Khwaja Ruknuddin Ishq

ishq dard-e-be-davā hai ye

jaane terī balā ki kyā hai ye

ishq dard-e-be-dawā hai ye

jaane terī balā ki kyā hai ye

Meer Muhammad Bedar

har qadam ke saath manzil lekin is kyā ilaaj

ishq kam-baḳht manzil-āshnā hotā nahīñ

har qadam ke sath manzil lekin is ka kya ilaj

ishq hi kam-baKHt manzil-ashna hota nahin

Jigar Moradabadi

pahuñchā hai jab se ishq mujh ko salām-e-ḳhās

dil ke nagīñ pe tab se khudāyā hai nām-e-ḳhās

pahuncha hai jab se ishq ka mujh ko salam-e-KHas

dil ke nagin pe tab se khudaya hai nam-e-KHas

Khwaja Ruknuddin Ishq

jin.hāñ ishq haqīqī paaya mūhoñ alāvat

zikar fikar vich rahan hamesha dam nuuñ qaid lagāvan

jinhan ishq haqiqi paya muhon na alawat hu

zikar fikar wich rahan hamesha dam nun qaid lagawan hu

Sultan Bahu

har ghaḌī pesh-e-nazar ishq meñ kyā kyā na rahā

merā dil bas tirī tasvīr dīvāna rahā

har ghaḌī pesh-e-nazar ishq meñ kyā kyā na rahā

merā dil bas tirī taswīr dīwāna rahā

Fana Bulandshahri

koī kyā samjhe ki kyā kartā hai ishq

har dam ik fitna bapā kartā hai ishq

koi kya samjhe ki kya karta hai ishq

har dam ek fitna bapa karta hai ishq

Aziz Safipuri

agar ishq ast be-bākāna mī-raqs

ba-shauq-e-ka.aba dar but-ḳhāna mī-raqs

agar ishq ast be-bakana mi-raqs

ba-shauq-e-kaba dar but-KHana mi-raqs

Hasrati

ishq ke āsār haiñ phir ġhash mujhe aayā dekho

phir koī rauzan-e-dīvār se jhāñkā dekho

ishq ke aasar hain phir ghash mujhe aaya dekho

phir koi rauzan-e-diwar se jhanka dekho

Bedam Shah Warsi

mirā ishq manzar-e-ām par tirā husn parda-e-rāz meñ

yahī farq roz-e-azal se hai tire naaz mere niyāz meñ

mera ishq manzar-e-am par tera husn parda-e-raaz mein

yahi farq roz-e-azal se hai tere naz mere niyaz mein

Qaisar Shah Warsi

mahfil ishq meñ jo yaar uThe aur baiThe

hai vo malka ki subuk-bār uThe aur baiThe

mahfil ishq meñ jo yar uThe aur baiThe

hai wo malka ki subuk-bār uThe aur baiThe

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

gar tālib-e-allāh huā hai ishq ko pahle paidā kar

prem chakkī meñ dil apnā piis pisā kar maidā kar

gar talib-e-allah hua hai ishq ko pahle paida kar

prem ki chakki mein dil apna pis pisa kar maida kar

Kavi Dildar

ishq barbādiyoñ ko rā.egāñ samjhā thā maiñ

bastiyāñ niklīñ jinheñ vīrāniyāñ samjhā thā maiñ

ishq ki barbaadiyon ko raegan samjha tha main

bastiyan niklin jinhen viraniyan samjha tha main

Jigar Moradabadi

chu nai ḳhālī shudam az ārzūhā laik ishq-e-ū

ba-gosham mī-damad harfe ki man nā-chār mī-nālam

chu nai KHali shudam az aarzuha laik ishq-e-u

ba-gosham mi-damad harfe ki man na-chaar mi-nalam

Khwaja Meer Dard

ishq meñ pūjtā huuñ qibla-o-ka.aba apnā

ek pal dil ko mire us ke bin ārām nahīñ

ishq mein pujta hun qibla-o-kaba apna

ek pal dil ko mere us ke bin aaram nahin

Shah Niyaz Ahmad Barelvi

sochā kabhī na ishq meñ kuchh pyaar ke sivā

hasrat koī na tere dīdār ke sivā

socha kabhi na ishq mein kuchh pyar ke siwa

hasrat koi na ki tere didar ke siwa

Ghafoor Shah Warsi

maqdūr kyā jo kah sukūñ kuchh ramz-e-ishq ko

juuñ sham.a huuñ agarche sarāpā zabān-e-ishq

maqdur kya jo kah sukun kuchh ramz-e-ishq ko

jun shama hun agarche sarapa zaban-e-ishq

Khwaja Ruknuddin Ishq

ye ishq hai sarkār 'ahqar' ġhussa bhī yahāñ hai pyaar bhī hai

har zaḳhm-e-jigar ke phāhe meñ kāfūr bhī hai zañgār bhī hai

ye ishq ki hai sarkar 'ahqar' ghussa bhi yahan hai pyar bhi hai

har zaKHm-e-jigar ke phahe mein kafur bhi hai zangar bhi hai

Ahqar Bihari

is chaman sair meñ ai gul-ezār

'ishq' āñkhoñ meñ tūfāñ yā-nasīb

is chaman ki sair mein ai gul-ezar

'ishq' ki aankhon mein tufan ya-nasib

Khwaja Ruknuddin Ishq

terā ishq mujh kuuñ hai āb-e-hayāt

na aave mujhe maut tere sañgāt

tera ishq mujh kun hai aab-e-hayat

na aawe mujhe maut tere sangat

Pir Syed Muhammad Aqdas

jab ishq āshiq bebāk kare tab paave apne matlab ko

tan man ko maar ke ḳhaak kare tab paave apne matlab ko

jab ishq aashiq bebak kare tab pawe apne matlab ko

tan man ko mar ke KHak kare tab pawe apne matlab ko

Kavi Dildar

lail-o-nahār chāhe agar ḳhuub guzre 'ishq'

kar vird us ke naam ko sub.h-o-shām

lail-o-nahaar chahe agar KHub guzre 'ishq'

kar wird us ke nam ko tu subh-o-sham ka

Khwaja Ruknuddin Ishq

Related Tags

Speak Now