Sufinama

Qatil Shayari

mirā sar kaT ke maqtal meñ gire qātil ke qadmoñ par

dam-e-āḳhir adā yuuñ sajda-e-shukrāna ho jaa.e

mera sar kaT ke maqtal mein gire qatil ke qadmon par

dam-e-aKHir ada yun sajda-e-shukrana ho jae

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

ishq meñ āshiq ye me.arāj hai

qatl ho qātil muñh dekhā kare

ishq mein aashiq ki ye mearaj hai

qatl ho qatil ka munh dekha kare

Shah Akbar Danapuri
  • Share this
  • Critique

kahāñ naala kahāñ shevan sunā.e qātil hai vaqt-e-murdan

qalam huī hai badan se gardan zabāñ pe na.ara hai āfrīñ

kahan ka nala kahan ka shewan sunae qatil hai waqt-e-murdan

qalam hui hai badan se gardan zaban pe nara hai aafrin ka

Ameer Minai
  • Share this
  • Critique

tirī āmādgī qātil tabassum hai mohabbat

tavajjoh gar nahīñ muzmar to qasd-e-imtihāñ kyuuñ ho

teri aamadgi qatil tabassum hai mohabbat ka

tawajjoh gar nahin muzmar to qasd-e-imtihan kyun ho

Maikash Akbarabadi
  • Share this
  • Critique

qātil ne pā.emāl kiyā jab se ḳhūn-e-'ishq'

sab shaġhl chhoḌ kar vo huā hai hinā-parast

qatil ne paemal kiya jab se KHun-e-'ishq'

sab shaghl chhoD kar wo hua hai hina-parast

Khwaja Ruknuddin Ishq
  • Share this
  • Critique

haiñ shauq-e-zab.h meñ āshiq taḌapte murġh-e-bismil se

ajal to hai zarā kah aanā ye paiġhām qātil se

hain shauq-e-zabh mein aashiq taDapte murgh-e-bismil se

ajal to hai zara kah aana ye paigham qatil se

Shah Akbar Danapuri
  • Share this
  • Critique

sadqe ai qātil tire mujh tishna-e-dīdār

tishnagī jaatī rahī āb-e-dam-e-shamshīr se

sadqe ai qatil tere mujh tishna-e-didar ki

tishnagi jati rahi aab-e-dam-e-shamshir se

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

qātil rahbar qātil rahzan

dil dost na dil dushman

qatil rahbar qatil rahzan

dil sa dost na dil sa dushman

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

chhurī bhī tez zālim ne na kar

baḌā be-rahm hai qātil hamārā

chhuri bhi tez zalim ne na kar li

baDa be-rahm hai qatil hamara

Aasi Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

hai vo qātil qatl-e-āshiq par khaḌā

maar degā ḳhuuñ bharī talvār se

hai wo qatil qatl-e-ashiq par khaDa

mar dega KHun bhari talwar se

Kishan Singh Arif
  • Share this
  • Critique

qātil ko hai zo'm-e-chāra-garī dard-e-nihāñ ḳhair nahīñ

vo mujh pe karam farmāne lage shāyad mirī jaañ ḳhair nahīñ

qatil ko hai zo'm-e-chaara-gari dard-e-nihan ki KHair nahin

wo mujh pe karam farmane lage shayad meri jaan ki KHair nahin

Shakeel Badayuni
  • Share this
  • Critique

nikaltī hai sadā.eñ marhabā har zaḳhm se qātil

hameñ lazzat milī kyā jaane kyā shauq-e-shahādat meñ

nikalti hai sadaen marhaba har zaKHm se qatil

hamein lazzat mili kya jaane kya shauq-e-shahadat mein

Kausar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

kūcha-e-qātil meñ mujhko ghair kar laa.ī hai ye

jiite jannat meñ pahuñchā de qazā aisī to ho

kucha-e-qatil mein mujhko ghair kar lai hai ye

jite ji jannat mein pahuncha de qaza aisi to ho

Kaifi Hyderabadi
  • Share this
  • Critique

na hotī dil meñ ulfat apnī kyuuñ qātil ke abrū

ki mujh ko to qatīl-e-ḳhanjar-e-saffāk honā thā

na hoti dil mein ulfat apni kyun qatil ke abru ki

ki mujh ko to qatil-e-KHanjar-e-saffak hona tha

Arsh Gayavi
  • Share this
  • Critique

qad-e-ḳham hai garebāñ-gīr kanThā ban ke qātil

magar be-tābī-e-zauq-e-shahādat ho to aisī ho

qad-e-KHam hai gareban-gir kanTha ban ke qatil ka

magar be-tabi-e-zauq-e-shahadat ho to aisi ho

Aasi Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

adā-o-nāz-e-qātil huuñ kabhī andāz-e-bismil huuñ

kahīñ maiñ ḳhanda-e-gul huuñ kahīñ soz-e-anādil huuñ

ada-o-naz-e-qatil hun kabhi andaz-e-bismil hun

kahin main KHanda-e-gul hun kahin soz-e-anadil hun

Kausar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

ḳhūn-e-ushshāq se qātil ne na khelī holī

saf-e-maqtal meñ kabhī rañg uchhalne na diyā

KHun-e-ushshaq se qatil ne na kheli holi

saf-e-maqtal mein kabhi rang uchhalne na diya

Kausar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

nahīñ hai ye qātil taġhāful vaqt

ḳhabar le ki baaqī abhī jaan hai

nahin hai ye qatil taghaful ka waqt

KHabar le ki baqi abhi jaan hai

Khwaja Meer Asar
  • Share this
  • Critique

koī mar kar to dekhe imtihāñ-gāh-e-mohabbat meñ

ki zer-e-ḳhanjar-e-qātil hayāt-e-jāvedāñ tak hai

koi mar kar to dekhe imtihan-gah-e-mohabbat mein

ki zer-e-KHanjar-e-qatil hayat-e-jawedan tak hai

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

jis taraf kūcha-e-qātil meñ guzar hotā hai

nazar aate haiñ udhar maut ke sāmāñ mujh ko

jis taraf kucha-e-qatil mein guzar hota hai

nazar aate hain udhar maut ke saman mujh ko

Jigar Warsi
  • Share this
  • Critique

ye bhī ik Dar hai kahīñ rusvā na ho qātil mirā

hashr meñ ḳhūn-e-tamannā agar da.avā karūñ

ye bhi ek Dar hai kahin ruswa na ho qatil mera

hashr mein KHun-e-tamanna ka agar dawa karun

Raza Warsi
  • Share this
  • Critique

nikāle hausle maqtal meñ apne bismil ke

nisār teġh ke qurbān aise qātil ke

nikale hausle maqtal mein apne bismil ke

nisar tegh ke qurban aise qatil ke

Bedam Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

mire qātil jaldī ne mujhe nākām rakhā

tamannā dekhne bhī na niklī tez-dastī meñ

mere qatil ki jaldi ne mujhe nakaam hi rakha

tamanna dekhne ki bhi na nikli tez-dasti mein

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

imtihāñ-gāh-e-vafā meñ bhī chal maiñ bhī chalūñ

aaj ai shamshīr-e-qātil maiñ nahīñ nahīñ

imtihan-gah-e-wafa mein tu bhi chal main bhi chalun

aaj ai shamshir-e-qatil main nahin ya tu nahin

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

na tarsā unheñ āb-e-ḳhanjar ko qātil

duā.eñ tujhe deñge bismil hazāroñ

na tarsa unhen aab-e-KHanjar ko qatil

duaen tujhe denge bismil hazaron

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

vo zālim hai be-dard saffāk qātil

use dard-e-dil sunāne se hāsil

wo zalim hai be-dard saffak qatil

use dard-e-dil ka sunane se hasil

Mirza Fida Ali Shah Manan
  • Share this
  • Critique

kūcha-e-qātil meñ jākar haath se rakhhe tujhe

o dil-e-be-tāb hamne isliye paalā nahīñ

kucha-e-qatil mein jakar hath se rakhhe tujhe

o dil-e-be-tab hamne isliye pala nahin

Mirza Fida Ali Shah Manan
  • Share this
  • Critique

piyegī ḳhuub ai qātil ġhazab rañg lā.egī

lagā.ī hai jo mehñdī piis us ko ḳhūn-e-bismil meñ

piyegi KHub ai qatil ghazab ka rang laegi

lagai hai jo mehndi pis us ko KHun-e-bismil mein

Ameer Minai
  • Share this
  • Critique

miyān-e-tishnagī pyāsoñ ne aisī lazzateñ lūTīñ

ki āb-e-teġh-e-qātil be-mazā ma.alūm hotā hai

miyan-e-tishnagi pyason ne aisi lazzaten luTin

ki aab-e-tegh-e-qatil be-maza malum hota hai

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

teġh kyā haath meñ qātil ke thī

ai hinā bhī to saanī jā.egī

tegh hi kya hath mein qatil ke thi

ai hina tu bhi to sani jaegi

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

hashr meñ qātil ne dekhī hai lahū koi chhīñT

sū-e-dāman kyuuñ jhukī hai aañkh sharmā.ī huī

hashr mein qatil ne dekhi hai lahu ki koi chhinT

su-e-daman kyun jhuki hai aankh sharmai hui

Riyaz Khairabadi
  • Share this
  • Critique

vāh-re shauq-e-shahādat kū-e-qātil taraf

gungunātā raqs kartā jhūmtā jaatā huuñ maiñ

wah-re shauq-e-shahadat ku-e-qatil ki taraf

gungunata raqs karta jhumta jata hun main

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

jilāyā maar kar qātil ne mañ is qatl ke qurbāñ

huā dāḳhil vo ḳhud mujh meñ maiñ aise daḳhl ke qurbāñ

jilaya mar kar qatil ne man is qatl ke qurban

hua daKHil wo KHud mujh mein main aise daKHl ke qurban

Mardan Safi
  • Share this
  • Critique

maiñ kyā bevafā huuñ ki mahshar meñ qātil ḳhudā se karūñ shikva-e-qatl apnā

zamāna kahe ḳhūn-e-nāhaq bahāyā agar mujh se pūchhā to paanī kahūñgā

main kya bewafa hun ki mahshar mein qatil KHuda se karun shikwa-e-qatl apna

zamana kahe KHun-e-nahaq bahaya agar mujh se puchha to pani kahunga

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

udhar har vaar par qātil ko barsoñ lutf aayā hai

idhar har zaḳhm ne hai sadā-e-āfrīñ barsoñ

udhar har war par qatil ko barson lutf aaya hai

idhar har zaKHm ne di hai sada-e-afrin barson

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

sitam ko chhoḌ bad achchhā burā badnām duniyā meñ

jafā ke saath terā naam ai qātil nikaltā hai

sitam ko chhoD bad achchha bura badnam duniya mein

jafa ke sath tera nam ai qatil nikalta hai

Akbar Warsi Meerthi
  • Share this
  • Critique

qātil vo shāḳh hai tirī ye teġh-e-ābdār

jis ko na gul ġham hai na hājat samar hai

qatil wo shaKH hai teri ye tegh-e-abdar

jis ko na gul ka gham hai na hajat samar ki hai

Arsh Gayavi
  • Share this
  • Critique

hai maqtal meñ qātil ke ik vaar

kalejā huā sar huā dil judā

hai maqtal mein qatil ke ek war ka

kaleja hua sar hua dil juda

Banke Lal
  • Share this
  • Critique

kar ke da.avā ḳhūn-e-nāhaq bahut nādim huā

arsa-e-mahshar meñ qātil ko pareshāñ dekh kar

kar ke dawa KHun-e-nahaq ka bahut nadim hua

arsa-e-mahshar mein qatil ko pareshan dekh kar

Kausar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

haiñ ḳhajil qaus-o-hilāl-o-ḳhanjar-o-teġh-e-sitam

qātil-e-ālam hai terī abrū-e-pur-ḳham nahīñ

hain KHajil qaus-o-hilal-o-KHanjar-o-tegh-e-sitam

qatil-e-alam hai teri abru-e-pur-KHam nahin

Bahram ji
  • Share this
  • Critique

hukūmat ke mazālim jab se in āñkhoñ ne dekhe haiñ

jigar ham bamba.ī ko kūcha-e-qātil samajhte haiñ

hukumat ke mazalim jab se in aankhon ne dekhe hain

jigar hum bambai ko kucha-e-qatil samajhte hain

Jigar Moradabadi
  • Share this
  • Critique

is darja pashemāñ mirā qātil hai ki us se

mahshar meñ mire sāmne aayā nahīñ jaatā

is darja pasheman mera qatil hai ki us se

mahshar mein mere samne aaya nahin jata

Purnam Allahabadi
  • Share this
  • Critique

mar ga.e jafāoñ se qātil taḌap-taḌap

maiñ kyā ki aur kitne bismil taḌap-taḌap

mar hi gae jafaon se qatil taDap-taDap

main kya ki aur kitne hi bismil taDap-taDap

Khwaja Ruknuddin Ishq
  • Share this
  • Critique

sikhā.ī naaz ne qātil ko bedardī ḳhū barsoñ

rahī betāb siina meñ hamārī aarzū barsoñ

sikhai naz ne qatil ko bedardi ki KHu barson

rahi betab sina mein hamari aarzu barson

Aziz Safipuri
  • Share this
  • Critique

chāTtī hai kyuuñ zabān-e-teġh-e-qātil baar baar

be-namak chhiḌke ye zaḳhmoñ meñ mazā kyūñkar huā

chaTti hai kyun zaban-e-tegh-e-qatil bar bar

be-namak chhiDke ye zaKHmon mein maza kyunkar hua

Ameer Minai
  • Share this
  • Critique

saḳht-jāñ 'sanjar' huā hai ishq meñ

teġh ab qātil ḳhālī jā.egī

saKHt-jaan 'sanjar' hua hai ishq mein

tegh ab qatil ki KHali jaegi

Sanjar Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

sisakte hoñge lākhoñ saiñkDoñ be-dam paḌe hoñge

sun ai qāsid yahī achhā nishān-e-kū-e-qātil hai

sisakte honge lakhon sainkDon be-dam paDe honge

sun ai qasid yahi achha nishan-e-ku-e-qatil hai

Shams Firangi Mahali
  • Share this
  • Critique

pas-e-mudan irādā dil meñ thā jo kū-e-qātil

lahad meñ ḳhush huā mai naam sunkar pahlī manzil

pas-e-mudan irada dil mein tha jo ku-e-qatil ka

lahad mein KHush hua mai nam sunkar pahli manzil ka

Ghafil Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

jo azm-e-qatl hai āñkhoñ pe paTTī bāñdh qātil

mabādā tujh ko rahm aa jaa.e merī nā-tavānī par

jo azm-e-qatl hai aankhon pe paTTi bandh li qatil

mabaada tujh ko rahm aa jae meri na-tawani par

Kausar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

vahm hai saham hai qātil ko merā ḳhayāl

haath kāñpe jaate haiñ ḳhanjar ravāñ hotā nahīñ

wahm hai ya saham hai qatil ko ya mera KHayal

hath kanpe jate hain KHanjar rawan hota nahin

Raqim Dehlvi
  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now