Ashaar of Kavi Dildar
gar āshiq sādiq hai us kā mat ulfat tū ġhair se joḌ
zulm kare yā sitam kare tū ishq se us ke muñh mat moḌ
gar aashiq sadiq hai us ka mat ulfat tu ghair se joD
zulm kare ya sitam kare tu ishq se us ke munh mat moD
jab ishq āshiq bebāk kare tab paave apne matlab ko
tan man ko maar ke ḳhaak kare tab paave apne matlab ko
jab ishq aashiq bebak kare tab pawe apne matlab ko
tan man ko mar ke KHak kare tab pawe apne matlab ko
gar tālib-e-allāh huā hai ishq ko pahle paidā kar
prem kī chakkī meñ dil apnā piis pisā kar maidā kar
gar talib-e-allah hua hai ishq ko pahle paida kar
prem ki chakki mein dil apna pis pisa kar maida kar
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere