Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama
Hairat Shah Warsi's Photo'

Hairat Shah Warsi

1887 - 1963 | Karachi, Pakistan

Ashaar of Hairat Shah Warsi

SORT BY

fasl-e-bahār meñ to qaid-e-qafas meñ guzrī

chhūTe jo ab qafas se to mausam-e-ḳhizāñ hai

fasl-e-bahaar mein to qaid-e-qafas mein guzri

chhuTe jo ab qafas se to mausam-e-KHizan hai

mirī 'hairat' mohabbat ho mohabbat aap 'hairat'

yahī ā.īna-dārī āḳhirash roz-e-yaqīñ aa.e

meri 'hairat' mohabbat ho mohabbat aap ki 'hairat'

yahi aaina-dari aaKHirash roz-e-yaqin aae

dil meñ jo rahte the ummīd duniyā ho kar

vo chale jaate haiñ kyuuñ dāġh-e-tamannā ho kar

dil mein jo rahte the ummid ki duniya ho kar

wo chale jate hain kyun dagh-e-tamanna ho kar

muddat meñ jalva-gar hue bālā-e-bām vo

us chāñd ko maiñ dekhūñ ki dekhūñ qamar ko maiñ

muddat mein jalwa-gar hue baala-e-baam wo

us chand ko main dekhun ki dekhun qamar ko main

bas meñ tire zamīñ hai qabze meñ āsmāñ hai

ai do-jahāñ ke mālik merā nishāñ kahāñ hai

bas mein tere zamin hai qabze mein aasman hai

ai do-jahan ke malik mera nishan kahan hai

har zarra us manzil sahrā ho ho gulshan

kyuuñ be-nishāñ rahe vo terā jo be-nishāñ hai

har zarra us ki manzil sahra ho ya ho gulshan

kyun be-nishan rahe wo tera jo be-nishan hai

kashtī-e-umr mirī ġham ke hai tūfāñ meñ ghirī

khīñch lo ab use dariyā kinārā ho kar

kashti-e-umr meri gham ke hai tufan mein ghiri

khinch lo ab use dariya ka kinara ho kar

qismat nā-rasā.iyāñ ba.ad-e-fanā rahīñ

mar ke bhī dafn ho na sakā kū-e-yār meñ

qismat ki na-rasaiyan baad-e-fana rahin

mar ke bhi dafn ho na saka ku-e-yar mein

merā ghar ghar nahīñ tum bin ye siyah-ḳhāna hai

ab siyah-ḳhāne meñ aa jaao ujālā ho kar

mera ghar ghar nahin tum bin ye siyah-KHana hai

ab siyah-KHane mein aa jao ujala ho kar

aap tasvīr har-dam dil se ham-āġhosh hai

ya.anī vo behosh huuñ qurbān jis par hosh hai

aap ki taswir har-dam dil se ham-aghosh hai

yani wo behosh hun qurban jis par hosh hai

siine meñ ban ke hasrat ik tiir be-kamāñ hai

jab tak rahe ye dil meñ insān nīm-jāñ hai

sine mein ban ke hasrat ek tir be-kaman hai

jab tak rahe ye dil mein insan nim-jaan hai

'hairat' ki tujh ko hairat-e-dīdār ho nasīb

aa dekh le shān-e-ḳhudā husn-e-yār meñ

'hairat' ki tujh ko hairat-e-didar ho nasib

aa dekh le tu shan-e-KHuda husn-e-yar mein

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Recitation

Speak Now